Dil karta hai is dha…

Dil karta hai is dharti par
Itna sundar chitr banaun
Gaata jaaun geet sunaun
Mein udta panchi ban jaaun

Socha karta dekh kali ko
Mein chanchal bhavra ban jaaun
Mand pavan mein banke baadal
Kirnon ke sang behta jaaun

Aur chupke se tujhko choo jaaun
Dhire se dil ki baat bataun
Baat bata kar jo sharmaun
Tere hi aanchal mein chup jaaun

Aur kho jaaun. Bas un hi so jaaun.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *